Text selection Lock by Hindi Blog Tips

रविवार, 12 दिसंबर 2010

वो दिन भी ……..

वो   din bhi kitne achche the,
Jab kandhoon pe mere baste the,
Budhe haath ki ek ungali,
Aur tedhe-medhe raste the,
Unn rastoon pe,
Mere saare sanghi rahte the,
Ek gali mein,
Sonu ka ghar,
Ek gali mein monu tha,       
Ek gali ke,                                                     
ek mod pe,
wo meri meena rahti thi,
kad mein thodi choti thi,
par baatein moti-moti thi,
baal the uske bikhre, phir bhi,
do-do choti karti thi,
ek roz kahaah tha maine usse,
roz wo maa se ladti thi,
maa bhar de meri aankh mein kajal,
mere liye, zid karti thi,
baste ke ek kone mein,
mujhko bhati,
kuch toofi rakhti thi,
mujhko achchi nahi lagti hain,
roz ye dekar, mujhse kahti thi,
uske baaloon ki khatir,
jeb mein kanghi rakhta tha,
saari raah wo kanghi karti,
main basta lekar chalta tha,
uski sab baatein suntan tha,
jab hansti thi, tab hansta tha,
phir ek din,
ek safhe si,
palat gayi zindgi,
chut gayi wo saari galiyaan,
chut gaye wo saare sanghi,
magar mere kandhoon pe aaj bhi,
uss baste ki thakaan baaki है ………..!
शेलेन्द्र .आर .कुमार लेखक मुंबई मायानगरी में फिल्म लेखक और मेरे करीबी मित्र है

1 टिप्पणी: